logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - shahid baltistani - 2018

Parda e Ghaib mein

Haye aakhri hussain, haye aakhri hussain..(2)haye aakhri hussainya hussain, shah hussain, ya hussainparda e ghaib mein zainab ke liye rota haiaaj bhi ek hussain tanha haiparda e ghaib meinGhum e sajjad mein..(2)dil uska aza khana haiparda e ghaib mein..1. Murtajiz se kabhi sunta hai wo shabbir ka ghumtegh se puchta hai madar e besheer ka ghumaise tanhayi mein..(2), majlis wo bapa karta haiparda e ghaib mein2. Khoo bhari chadar e zainab mein chupata hai unhechoomta hai kabhi aankho'n se lagata hai unhebaazu abbas ke ..(2), godi mein liye baitha haiparda e ghaib mein3. Uske darbaar mein jaa'n dene ko hazir hotakaash ham mein bhi koi ibn e mazahir hotadil tadap jaata hai..(2), jab mujhko khayal aata haihussain tanha hai..Ya hussain, ya hussainparda e ghaib mein4. Misle shabbir wo akbar ke liye rota haikhoon rote hue sughra ka wo khat padhta haiuske seene mein bhi..(2), ek toota hua naiza haiparda e ghaib mein5. Dekh kar bheedh tadap jaata hai zainab ki qasamuski aankho'n se bhi bazaar mein har ek qadamkhoon sajjad ke..(2), zakhmo ki tarha rista haiparda e ghaib mein6. Loriya baap ke lehje mein sunane ke liyeek diya qabr e sakina pe jalane ke liyeshaam hoti hai to..(2), zindaan mein aajata haiparda e ghaib mein7. Koi daulat se koi karta hai aulad se pyaarnusrat e haqq ke liye koi nahi hai tayyarhaye afsos ke..(2), ab saara jaha'n kufa haihussain tanha hai..Ya hussain, ya hussainparda e ghaib mein8. Kisko awaaz de masroof hai ye saara jaha'nuski tanhayi ki mehram hai ye gyara sadiya'nkya takallum tumhein..(2), is dard ka andaaza haiparda e ghaib mein zainab ke liye rota haiaaj bhi ek hussain tanha haiparda e ghaib mein

HomebookmarkmybayaazSetting